Sunday, February 4, 2007

filmi sharyari ...fanaa types

adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhoore ham
magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham


Rone de aaj hamko do aankhen sujaane de
Baahon mein lene de aur khud ko bheeg jaane de
Hai jo seene mein qaid dariya woh choot jaayega
Hai itna dard ke tera daaman bheeg jaayega

Tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaaye
Tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye

Aisa laga khuda ne rakh diya humare dil pe hath
liya naam humara unho ne kuch aisi ada k saath

Humse durr jaoge kaise dilse humain bhulaoge kaise
Hum wo khushboo hain jo sansoo mein baste hain khudki sansoo ko rok paoge kaise

Bekhudhi ki zindagi hum jiya nahi karte
jaam dusron se chhen kar hum piya nahi karte
unko mohabbat hai to aa kar izhar karen
peeche hum bhi kisi ka kiya nahi karte

Phool hu gulaab ka, chameli ka na samajhna,
Aashiq hu aapka, aapki saheli ka na samajhna

Bananewale Khuda se ek galati ho gayee..
Tujhe khud ki nazar na lage so tujhe nazar na di.

Aankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
Sachi chahat tho sada bezuban hoti hai,
Pyar mein dard bhi mile tho kya gabrana,
Suna hai dard chahat aur jawan hoti hai...

phool khilte hai bahaaron ka samaa hota hai
aise mausam mein hi to pyaar javaan hota hai
dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
ye fasaana to nigaahon se bayaan hota hai


Jaan usey do jo apna DIL tujhe de
Lekin apna ghurroor sirf uspe Qurbaan karo
Jo tumhare pyaar mein FANAA hojaaye



kaash tere chehre par chechak k daag hote
chand to tuu hai hi do char sitare bhi saath hote!!


garmiye hasrat-e-naakam se jal jaate hain
hum chiragon ki tarah shaam se jal jaate hai...
Shama jalti hai jis aag mein numaish ke liye
Hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain
jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath..
naa jano kyon log mere naam se jal jaate hain

Tu mujhe chahe naa chahe yeh tere baas mein toh hai....
Aur mein tujhko naa chahun yeh mere baas mein nahin....

Milte hi nazrein dil milaya nahin jata....
Aaghaz ko anjaam banaya nahin jata....

Husn Ko Chaand Jawaani Ko Kanwal kehte Hai
Dekh Ko Tujhe Hum Yeh Shokh Ghazal Kehte Hai
Uff Ye Sangemarmar sa tarsha huaa shffaq badan
dekhne wale tujhe Tajmehal kehte hai

Insaan ki khwahish ki koi intehaaan nahin,
do gaz zameen chahiye do gaz kafan ke baad

No comments: