Sunday, February 4, 2007

random shayar .. sentimental

*yaado ki dhund me
aap ki parchayi si dikhti hai,
kaano me gunjti shahnayi si lagti hai,
aap kareeb ho to apna pan hai,
warna seene me ssans bhi paraaye si
lagti hai

*baadlon ke dermiyan kuch aisi sajish hui,
mera ghar mitti ka tha mere hi ghar barish hui,
usko bhi zid hai bijliyan girane ki,
or hame bhi zid hai wahi aashiyan banane ki.

* mohhabat ke bhi kuch khaas andaz hote hain,
jaagti aankhon mein bhi khwaab hote hain,
zaroori nahi gam mein hi aasoon niklen,
muskurati aakhon mein bhi sailaab hote hain....

* meri kabr par phool chada raha hai koi,
meri kabr par aansoon baha raha hai koi,
ae mere khuda thodi zindagi dede,
meri kabr se udaas ja raha hai koi....

* ae dil tu mohhabat karta kyon hai?
jo karta hai to phir tadapta kyon hai?
main dhakan hoon uske dil ki vo kehta tha mujhse,
phir aaj uska dil mere bina dhadkta kyon hai???

*Koi Mili hume Chand ki chandni bankar,
Tho Koi Mili Pariyon ki kahani bankar,
Par jis kisi ko humne palkon mein basaya,
Woh nikal gayee aankhon se paani bankar.

* paane se khone ka maja aur hai..
band aankhon me rone ka maja aur hai..
aansoo bane gazal aur is gazal me aap ke hone ka maza kuch aur hai...

*Bheeg jati hai palke tanhai mai…
Darte hai koi pehchan na le…
Pasand karte hai tez barsat mai chalna …
Kahi rote hue koi pehchan na le…

* mar jaoon main agar, to aansu mat bahana,
bas kafan ki jagah apna dupatta chada jana,
koi pooche ki rog kya tha,
to sir jhuka ke mohabbat bata jana.

* raat hui jab shaam ke baad,
teri yaad aayi har baat ke baad,
humne khamosh reh kar bhi dekha,
teri aawaz aayi har saans ke baad.

* agar talash karun , koi mil hi jaega
magar tumhari tarah kaun mujhko chahega

tumhe jaroor koi chahton se dekhega
magar woh aankhe hamari kahan se laaega.

* zaroorat hi nahi alfaaz ki
dosti to cheez hai bas ehsaas ki
pass hote to manzar hi kya hota
door se hi khabar hai hame aapki har saans ki

*

lamhe ye suhane saath ho na ho,
kal me aaj jaisi koi baat ho na ho.
apka pyar hamesha is dil mein rahega
chache poori umar mulakaat ho na ho..

* Khuli jo aankhe to manzar ajib tha,
dard tha magar wo dil ke karib tha,
jine hum dhundte the hatho ki lakirome,
pata chala wo kisi aur ka nasib tha,

*

No comments: