kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hain,
ki jindagi teri julfo ki narm chaon mein gujar na patin to shadab ho bhi sakti thi
ye ranjo gam ki syaahi jo dil pe chayi hain, teri najar ki shuaan mein kho bhi sakti thi
magar ye ho na saka... magar ye ho na saka
aur ab ye aalam hain ki tu nahin tera gum teri joostju bhi hain
gujar rahin kuch istarah zindagi jaise ki isey kisike sahare ki aarjoo bhi nahin
na koi rah na manjil na roshni ka suraag
bhatak rahin hain andhero mein jindagi meri
inhi andhero mein rah jaonga kabhi khokar
main jaanta hoon meri humnafas magar yuun hi
kabhi kabhi mere dil mein..........
main aur meri tanhai aksar yeh baatein karte hain..
tum hoti toh kaisa hota...
tum ye kahti tum woh kahti
tum is baat hairan hoti..tum us baat kitni hasti..
tum hoti toh aisa hota..tum hoti toh vaisa hota..
main aur meri tanhai aksar yeh baatein karte hain..
yeh raat hai ya tumhari julfe khuli huin hain...
hain chandni ya tumhari najro se meri raatein dhooli huin hain...
yeh chand hain ya tumhara kangan..
sitare hain ya tumhara aanchal..
hawa ka jhoka hain ya tumhare badan ki khoosbu..
yeh pattiyon ki sarsarahat ki tumne chupke se kuch kahan hain..
yeh sochta hoon main kabse gumsum..
ki jabki mujhko bhi yeh khabar hain..
ki tum nahin hon..kahin nahin hon..
magar yeh dil hain ki kah rahan hain..
tum yahin hon..yahin kahin hon...
majboor yeh haalat idhar bhi hain udhar bhi...
tanhai ki ek raat idhar bhi hain udhar bhi...
kehne ko bahut kuch hain magar kis se kahein hum...
kab tak yun hi khamosh rahein aur sahein hum..
dil kehta duniya ki har ek rasm utha de...
deewar jo hum dono mein aaj gira de..
kyun dil mein sulagte rahein logo ko bata de..
haan humko mohabbat hain mohabbat hain mohabbat...
ab dil lein yahin baat..
idhar bhi hain udhar bhi..
Sunday, February 4, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Most beautiful poetry ever ❤❤❤❤
Post a Comment